Teri Yaaden Bhi Nahin Gham Bhi Nahin Tu Bhi Nahin

terī yādeñ bhī nahīñ ġham bhī nahīñ tū bhī nahīñ

kitnī vīrān hai ye aañkh ki aañsū bhī nahīñ

mere dil ko mire ehsās ko chhū jaatī thī

bhīge bhīge tire bāloñ kī vo ḳhushbū bhī nahīñ

haa.e vo pahle-pahal terī judā.ī kī ghaḌī

ab to piine kī koī chaah koī ḳhū bhī nahīñ

jo ġham-e-dahr kī rāhoñ ko hasīñ-tar kar de

bahke bahke tire qadmoñ kā vo jaadū bhī nahīñ

ab gunahgār nazar kī hai kahāñ jā-e-panāh

raah meñ duur talak koī parī-rū bhī nahīñ

Leave a Comment