• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Teri Ruh Mein Sannata Hai Aur Meri Aawaz Mein Chup

Teri Ruh Mein Sannata Hai Aur Meri Aawaz Mein Chup

abbas-tabish

teri ruuh men sannata hai aur miri avaz men chup

tu apne andaz men chup hai main apne andaz men chup

gaahe gaahe sanson ki avaz sunai deti hai

gaahe gaahe baj uthti hai dil ke shikasta-saz men chup

sannate ke zahr men bujhte logon ko ye kaun batae

jitna uncha bol rahe hain utni hai avaz men chup

ik muddat se khushk pada hai vo jharna angdai ka

jaane kis ne bhar di hai us paikar-e-naghma-saz men chup

rag rag men jab khuun ki bunden bulbul ban kar chahak uthin

phir dil-e-‘hafiz’ kyuun kar sadhe siine ke shiraz men chup

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

peD Agar Uncha Milta Hai

Wo Aarzu Ki Dilon Ko Udas chhoD Gai

Guzishta Shab Jo Itni Raushni Thi

poet

Zamane Thik Hai in Se Bahut Hue Raushan

Qalb-E-Insan Mein Jab Raushni Ho Gai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet