teri nigah se tujh ko ḳhabar hai ki kya hua
dil zindagi se bar-e-digar ashna hua
ik ik qadam pe us ke hua sajda-rez main
guzra tha jis jahan ko kabhi raundta hua
dekha tujhe to arzuon ka hujum tha
paaya tujhe to kuchh na tha baaqi raha hua
dasht-e-junun men reg-e-ravan se ḳhabar mili
phirta raha hai tu bhi mujhe DhunDhta hua
ehsas-e-nau ne ziist ka naqsha badal diya
mahrumiyon ka yuun to chaman hai khila hua
chamka hai ban ke sarv-e-charaghan tamam umr
kya ansuon ka taar tha tujh se bandha hua
bikhre hain zindagi ke kuchh is tarah tar-o-pud
har zarra apne-ap men mahshar-numa hua
puchho to ek ek hai tanha sulag raha
dekho to shahr shahr hai mela laga hua
parda uTha sako to jigar tak gudaz hai
chaho ki ḳhud ho yuun to hai patthar paḌa hua
insan-dosti ke taqazon ka silsila
insan-dushmani ki hadon se mila hua
aqdar ke fareb men ab aa chuka ‘nazar’
kashti Dubo gaya jo ḳhuda, naḳhuda hua
Leave a Reply