rang us ka naya nazar aaya
shaam tha dhuup sa nazar aaya
vahi kamra vahi tha sab saman
vo magar dusra nazar aaya
raste men vo aa gaya tha nazar
phir kahan rasta nazar aaya
vo gali dusri nazar aa.i
dar-o-divar sa nazar aaya
vo jo ta.abir tha mujhe ik din
ḳhvab hota hua nazar aaya
jo mayassar hai is men bas ‘ḳhavar’
dil hi kuchh kaam ka nazar aaya
Leave a Reply