andhiyan aati thiin lekin kabhi aisa na hua
khauf ke maare juda shakh se patta na hua
ruuh ne pairahan-e-jism badal bhi daala
ye alag baat kisi bazm men charcha na hua
raat ko din se milane ki havas thi ham ko
kaam achchha na tha anjam bhi achchha na hua
vaqt ki dor ko thame rahe mazbuti se
aur jab chhuti to afsos bhi is ka na hua
khuub duniya hai ki suraj se raqabat thi jinhen
un ko hasil kisi divar ka saaya na hua