dil mutma.in nahin hai nazar mutma.in nahin
is daur-e-ibtila men bashar mutma.in nahin
kaif-e-bahar bazm-e-tarab raqs-e-jam-e-mai
kis kaam ke hain dil hi agar mutma.in nahin
aalam kisi ke tir-e-nazar ka shikar hai
phir bhi kisi ka tir-e-nazar mutma.in nahin
kya jaane kis maqam pe ye saath chhoḌ den
in rahbaron se ahl-e-safar mutma.in nahin
sau baar ashiyana jalane ke bavajud
meri taraf se barq-o-sharar mutma.in nahin
faizan-e-jalva aur zara aam kijiye
dil ko to hai yaqin-e-nazar mutma.in nahin
‘maikash’ ko mai-kada men bhi gham se nahin mafar
hain bada-ḳhvar jam.a magar mutma.in nahin
Leave a Reply