teri mahfil men jitne ai sitam-gar jaane vaale hain
hamin hain ek un men jo tira gham khane vaale hain
adam ke jaane vaalo daudte ho kis liye thahro
zara mil ke chalo ham bhi vahin ke jaane vaale hain
safai ab hamari aur tumhari ho to kyuun kar ho
vahi dushman hain apne jo tumhen samjhane vaale hain
kise ham dost samjhen is jahan men aur kise dushman
ki jo samjhane vaale hain vahi bahkane vaale hain
maraz badh jaae jis se ai tabib ab vo dava dena
suna hai aaj vo meri khabar ko aane vaale hain
na sunte hain kisi ki aur munh se baat karte hain
khuda jaane musafir ye kahan ke jaane vaale hain
tire bimar kab khaen dava parhez kya janen
ye hain khun-e-jigar piite ye gham ke khane vaale hain
qayamat tak na vo ai ‘mashriqi’ manzil pe pahunchenge
khayali ghode jo maidan men daudane vaale hain
Leave a Reply