paani aankh men bhar kar laaya ja sakta hai
ab bhi jalta shahr bachaya ja sakta hai
ek mohabbat aur vo bhi nakam mohabbat
lekin is se kaam chalaya ja sakta hai
dil par paani piine aati hain ummiden
is chashme men zahr milaya ja sakta hai
mujh gumnam se puchhte hain farhad o majnun
ishq men kitna naam kamaya ja sakta hai
ye mahtab ye raat ki peshani ka ghaav
aisa zakhm to dil par khaya ja sakta hai
phata-purana khvab hai mera phir bhi ‘tabish’
is men apna-ap chhupaya ja sakta hai
Leave a Reply