riya-kari ke dhandon men na tu shamil na main shamil
ḳhuda ke nek bandon men na tu shamil na main shamil
vafa ki sukhti jhilon se lakhon kuuch karte hain
magar uḌte parindon men na tu shamil na main shamil
tamasha dekhte hain aap apna aur hanste hain
hamare dard-mandon men na tum shamil na main shamil
abhi to bhigte lamhon ne pahla bhed paaya hai
abhi barish ki bundon men na tu shamil na main shamil
fasad-o-qatl karte hain jo tere mere namon par
ilahi in darindon men na tu shamil na main shamil
na e.azazat aur pi aar tamghe aur na seminar
adab ke shar-pasandon men na tum shamil na main shamil
Leave a Reply