Dil Dukh Na Jae Baat Koi Be-Sabab Na Puchh

dil dukh na jaa.e baat koī be-sabab na pūchh

ḳhāna-ba-dosh logoñ se nām-o-nasab na pūchh

had āsmāñ kī pūchh zamīñ kā adab na pūchh

kin manziloñ meñ hai mirī parvāz ab na pūchh

nān-e-javīñ kī aas bhī kiyā shai hai ab na pūchh

pardesiyoñ se mashġhala-e-roz-o-shab na pūchh

be-ghar hue haiñ dīda-e-be-ḳhvāb ke qatīl

ab jugnuoñ se lazzat-e-rūdād-e-shab na pūchh

tere liye huuñ ā.īna-e-pāsh-pāsh meñ

kyā kyā hai mere vāste ik terī chhab na pūchh

pyāse haiñ jaise ek samundar meñ rah ke ham

tere baġhair zindagī karne kā Dhab na pūchh

mere lahū tarañg se Therā hai surḳh-rū

kyā kyā na rañg haiñ tirī āñkhoñ ke ab na pūchh

ik sho.ala-e-sharāb bhī haiñ āftāb bhī

is zamharīr meñ tire shādāb lab na pūchh

ham ḳhud-shanās bhī haiñ zamāna-shanās bhī

is marhale meñ jaan se guzre haiñ kab na pūchh

Leave a Comment