ḳhat jo tere naam likha, takiye ke niche rakhta huun
jaane kis ummid pe ye ta.aviz daba ke rakhta huun
taaki ik ik lafz mire lahje men tujh se baat kare
ḳhat ke har har lafz ko ḳhat par ḳhuub paḌha ke rakhta huun
aas pe teri bikhra deta huun kamre ki sab chizen
aas bikharne par sab chizen ḳhud hi uTha ke rakhta huun
ek zara sa dard mila aur kaghaz kaale kar daale
ek zara se hijr pe ik hangama macha ke rakhta huun
ambar, mushkin, ruh-e-baharan jan-faza o mauj-e-bahisht
ik teri nisbat se kya kya naam saba ke rakhta huun
Leave a Reply