tiri madad ka yahan tak hisab dena paḌa
charagh le ke mujhe aftab dena paḌa
har ek haath men do do sifarshi ḳhat the
har ek shaḳhs ko koi ḳhitab dena paḌa
ta.alluqat men kuchh to darar paḌni thi
ka.i saval the jin ka javab dena paḌa
ab is saza se baḌi aur kya saza hogi
na.e sire se purana hisab dena paḌa
is intizam se kya koi mutma.in hota
kisi ka hissa kisi ko janab dena paḌa
Leave a Reply