tiri jab niind ka daftar khula tha
yaqinan ek ik manzar khula tha
use tum chand se tashbih dena
ki us ke haath men ḳhanjar khula tha
suna divar-o-dar kya kah rahe hain
hamari piiTh par nashtar khula tha
nahin ki tang thiin apni qaba.en
tumhare jism ka paikar khula tha
badalte mausamon ki taan TuuTi
ghaTaon par mira saghar khula tha
pari-paikar se jab bhi baat hoti
maze ki baat hai aksar khula tha
kisi ke haath so.e the sirhane
kisi ke haath men ḳhanjar khula tha
uḌanen jab bhi thiin mahdud ‘khullar’
hamare naam ka shah-par khula tha
Leave a Reply