Teri Inayaton Ka Ajab Rang Dhang Tha

terī ināyatoñ kā ajab rañg Dhañg thā

tere huzūr pā-e-qanā.at meñ lañg thā

sahrā ko rauñdne kī havas pā-ba-gil hai ab

yuuñ thā kabhī ki dāman-e-āfāq tañg thā

dāman ko tere thaam ke rāhat baḌī milī

ab tak maiñ apne aap se masrūf-e-jañg thā

hañgām-e-yād dil meñ na aahaT na dastakeñ

shorish-kade meñ raat ḳhamoshī kā rañg thā

tū aayā lauT aayā hai guzre dinoñ kā nuur

chehroñ pe apne varna to barsoñ kā zañg thā

raqs-e-junūñ meñ bhī thā tarīq-e-hunar kā Dhab

sūfi-e-bā-safā thā koī yā malañg thā

kyā āsmāñ uThāte mohabbat meñ jab ki dil

tār-e-nigah meñ uljhī huī ik patañg thā

Leave a Comment