bazm-e-jahan men men bhi huun a sham-e-dardmand
faryad dar girah-e-sifat daana sipand
di ishq ne hararat-e-soz-e-darun tujhe
aur gul-farosh ashk shafaq-gun kiya mujhe
ho sham-e-bazm-e-aish ki sham-e-mazar-e-tu
har haal ashk-e-gham se rahi ham-kanar tu
yak-bin tiri nazar sifat-e-ashiqan-e-raz
meri nigah maya-e-ashob-e-imtiyaz
kaabe men but-kade men hai yaksan tiri ziya
main imtiyaz-e-dair-o-haram men phansa hua
hai shan-e-ah ki tire dud-e-siyah men
poshida koi dil hai tiri jalva-gah men
jalti hai tu ki barq-e-tajalli se duur hai
be-dard tere soz ko samjhe ki nuur hai
tu jal rahi hai aur tujhe kuchh khabar nahin
biina hai aur soz-e-darun par nazar nahin
men josh iztirab se simab vaar bhi
agah-e-iztirab dil-e-be-qarar bhi
tha ye bhi koi naaz kisi be-niyaz ka
ehsas de diya mujhe apne gudaz ka
ye agahi mari mujhe rakhti hai be-qarar
khvabida is sharar men hain atish-kade hazar
ye imtiyaz-e-rifat-o-pasti isi se hai
gul men mahak sharab men masti isi se hai
bustan-o-bulbul-o-gul-o-bu hai ye agahi
asl kashakash-o-man-o-tu hai ye agahi
subh-e-azal jo husn hua dilsitan-e-ishq
avaz-e-kun hui tapish amoz-e-jan-e-ishq
ye hukm tha ki gulshan-e-kun ki bahar dekh
ek aankh le ke khvab-e-pareshan hazar dekh
mujh se khabar na puchh hijab-e-vajud ki
sham-e-firaq subh thi meri numud ki
vo din gae ki qaid se main ashna na tha
zeb-e-darakht-e-tur mira ashiyana tha
qaidi huun aur qafas ko chaman janta huun main
ghurbat ke gham-kade ko vatan janta huun main
yad-e-vatan fasurdagi be-sabab bani
shauq-e-nazar kabhi kabhi zauq-e-talab bani
a shama intiha-e-fareb-e-khyal dekh
masjud sakinan-e-falak ka maaal dekh
mazmun firaq ka huun surayya nishan huun main
ahang-e-taba nazim-e-kaun-o-makan huun main
bandha mujhe jo us ne to chahi miri numud
tahrir kar diya sar-e-divan-e-hast-o-bud
gauhar ko musht-e-khak main rahna pasand hai
bandish agarche sust hai mazmun buland hai
chashm-e-ghalat nagar ka ye saara qusur hai
aalam zuhur jalva-e-zauq-e-shuur hai
ye silsila zaman-o-makan ka kamand hai
tauq-e-gulu-e-husn tamasha-pasand hai
manzil ka ishtiyaq hai gham-karda raah huun
a shama men asir-e-fareb-e-nigah huun
sayyad aap halqa-e-dam-e-sitam bhi aap
bam-e-haram bhi tair-e-bam-e-haram bhi aap
main husn huun ki ishq sarapa gudaz huun
khulta nahin ki naaz huun main ya niyaz huun
haan ashna-e-lab ho na raz-e-kuhan kahin
phir chhid na jaae qissa-e-dar-o-rasan kahin
Leave a Reply