Bar-Sar-E-Rozgar the Hum To

bar-sar-e-rozgār the ham to

‘jaun’ yāroñ ke yaar the ham to

chal diye dost to ye dhyān aayā

sirf ik rahguzār the ham to

ab ġhulāmoñ ke bhī ġhulām hue

sāhab-e-iqtidār the ham to

khul ke ro.e haiñ to yaqīn aayā

vāqa.ī jān-dār the ham to

jab gire TuuT kar to ye dekhā

chaar sū be-shumār the ham to

hameñ Thukrā diyā gayā hai ‘zakī’

ruḳh-e-parvardigār the ham to

Leave a Comment