• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Subh Ko Aae Ho Nikle Sham Ke

Subh Ko Aae Ho Nikle Sham Ke

sub.h ko aa.e ho nikle shaam ke

jaao bhi ab tum mire kis kaam ke

hatha-pa.i se yahi matlab bhi tha

koi munh chume kala.i thaam ke

tum agar chaho to kuchh mushkil nahin

Dhang sau hain nama-o-paigham ke

chheḌ vaa.iz har ghaḌi achchhi nahin

rind bhi hain ek apne naam ke

qahr Dha.egi asiron ki taḌap

aur bhi uljhenge halqe daam ke

mohtasib chun lene de ik ik mujhe

dil ke TukḌe hain ye TukḌe jaam ke

lakhon dhaḌke ibtida-e-ishq men

dhyan hain aghaz men anjam ke

mai ka fatva to sahi qaazi se luun

Tok kar raste men daman thaam ke

duur daur-e-mohtasib hai aj-kal

ab kahan vo daur-daure jaam ke

naam jab us ka zaban par aa gaya

rah gaya naseh kaleja thaam ke

duur se naale mire sun kar kaha

aa ga.e dushman mire aram ke

haa.e vo ab pyaar ki baten kahan

ab to laale hain mujhe dushnam ke

vo laga.en qahqahe sun kar ‘hafiz’

aap naale kijiye dil thaam ke

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ayaadat Hoti Jati Hai Ibaadat Hoti Jati Hai

muneer-niyazi

Main Aur Mera Khuda

Ye Hath Apna Mere Hath Mein Thama Dije

poet

Numaishon Ka Guzar Kab Rah-E-Najat Mein Hai

poet

Chand Ko Reshmi Baadal Se Ulajhta Dekhun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet