tumhara rang rang-e-asman jaisa badalta hai
kisi ko chahne vaala kahin itna badalta hai
saba shabnam shafaq ruḳhsar gul mahtab in sab ka
tumhara naam leta huun to kyuun chehra badalta hai
saba guftar shirin lab sitara chashm hain to kya
badalte ham bhi hain jab samne vaala badalta hai
kabhi jaati nahin jangal ki bu sandal ke paikar se
ki surat ke badalne se kahin rishta badalta hai
ye shahr-e-be-sada andar se shahr-e-arzu nikla
dhuan har-dam yahan bujhte charaghon ka badalta hai
utarte vaqt paani men zara ye dekh lena tha
ki andar beach men ja kar yahi dariya badalta hai
raho divar ke saa.e men lekin dekhte rahna
hamesha ruḳh yahan divar ka saaya badalta hai
suḳhan rasta lakiron se nahin lafzon se raushan hai
lakiren piTne se bhi kabhi rasta badalta hai
‘matin’ aao chalen ḳheme ki janib ik zara so len
vo dekho sub.h ka taara libas apna badalta hai
Leave a Reply