charagh-e-shauq jala kar kahan se jaana tha
hamen to ho ke saf-e-dushmanan se jaana tha
ye dil ye shahr-e-vafa kab use pasand aaya
vo be-qarar tha us ko yahan se jaana tha
nazar men rakkha nahin ek bhi sitara tira
ki ḳhak-zad the ham asman se jaana tha
kisi bahane sahi zindagi ka qarz utra
hamen to vaise bhi ik roz jaan se jaana tha
nadi men rah ke chaTanon se darguzar karna
ye ham ne fitrat-e-mauj-e-ravan se jaana tha
Leave a Reply