tiri gali men jo aa.e vo ghar nahin jaate
jo tere dar pe hain vo dar-ba-dar nahin jaate
vo a.enge kabhi koThe pe imtihan kar lo
falak se bhage to shams-o-qamar nahin jaate
masih-o-bu-ali-sina ki kya hui tashḳhis
kisi ilaaj se dagh-e-jigar nahin jaate
gale lagate hain un ko bahane ruḳhsat ke
chale sharab ki ab ham-safar nahin jaate
vo kaun sub.h nahin karte shaam ka va.ada
vo shaam kaun si hai jo mukar nahin jaate
paḌhaya tote ko ik umr bevafa nikla
azal ke bigḌe kisi se sudhar nahin jaate
ye aage aage kanval le ke chal rahe ho kyuun
vo manzilon men qamar ke agar nahin jaate
tumhari chashmon ne ḳhat par magar na Daali aankh
ghazal kis liye raihan ko char nahin jaate
falak se puchhiye dariya ka shor kuchh bhi hai
jo nikle dil se ye naale kidhar nahin jaate
ghubar aah ka mere hai jald rail se bhi
kuchh ab-e-barq ravish taar par nahin jaate
laḌa ke aankh tum ankhon se ho ga.e pinhan
par aankh se miri misl-e-nazar nahin jaate
makan aur to laa.eq nazar nahin aata
gharib-ḳhana to hai kyuun utar nahin jaate
ḳhayal-e-sabza-e-ḳhat bhi ho ai janab-e-ḳhizr
piye hain ab-e-baqa aap mar nahin jaate
dhaḌi jamav malo mehndi zulf suljhao
ghazab ka naaz hai tum kyuun sanvar nahin jaate
tumhari choTi ki nagin se khelte hain mudam
kisi bala se ye ushshaq Dar nahin jaate
ḳhafa nasim se kitne hain vo ilahi ḳhair
hava bhi khane ko sham-o-sahar nahin jaate
Leave a Reply