haan
main usi paani ki buund huun
jo tumhare kamre ke kone men padi
surahi men rahta tha akhir-kar
tumhara samundar
na jaane kitne dariyaon ka
pyasa tha aur
jag jag phirta tha
main
har shaam
surahi ki haden paar karti
tumhare hont
taravat ke zaiqe lete
jag jag phirne ki
thakan mit jaati
par har jag se laaya gaya gyaan
tumhen svayam bhagvan bana gaya
phir tumhare
pathrile haath uthe
kone men padi surahi
tod baithe aur
chot
paani ko lagi
buund buund dard se tadap uthi
sar patakne lagi
tum apni sukhi aatma ko le chalo yahan se
kin sochon men duube ho
main usi paani ki buund huun
Leave a Reply