kyuun dekhiye na husn-e-ḳhuda-dad ki taraf
lazim nazar hai gulshan-e-ijad ki taraf
paa.e jo tere gosha-e-dastar ki hava
qumri uḌi na turra-e-shamshad ki taraf
be-asl ai falak nazar aata hai tu mujhe
karta huun ghaur jab tiri buniyad ki taraf
gulshan men kaun bulbul-e-nalan ko de panah
gulchin o baghban bhi hain sayyad ki taraf
mazlum huun magar nahin milta koi gavah
hain ahl-e-hashr is sitam-ijad ki taraf
nadan kahin panah nahin maut se tujhe
kya dekhta hai qila-e-faulad ki taraf
ham-jins ko zarur hai ham-jins ka ḳhayal
raghbat na ho bashar ko pari-zad ki taraf
mazmun kamar ka haath na aaya jo dahr men
jaana paḌa mujhe adam-abad ki taraf
taklif ju-e-shir ki de kar jo thi ḳhajil
shirin na dekh sakti thi farhad ki taraf
divangi ka zor tamasha hai ai pari
fassad ki nigah hai haddad ki taraf
gardan jhuka.e shauq-e-shahadat men huun ravan
dil le chala hai kucha-e-jallad ki taraf
umid-var chashm-e-inayat ka hai gharib
dekho to ik nazar dil-e-nashad ki taraf
naseh agar sitam na sahen ham to kya karen
dil dauḌta hai yaar ki be-dad ki taraf
bulbul samajh rahi hai ki gulha-e-ḳhanda-ru
rakhte hain kaan nala-o-fariyad ki taraf
fazl-e-ḳhuda se apni tabi.at hai be-niyaz
ru-e-talab kabhi na hua daad ki taraf
vaa.iz se sun ke qamat-e-tauba ki ḳhubiyan
dauḌa ḳhayal ik qad-e-azad ki taraf
bhule hue hain saare zamane ki nematen
mailan-e-dil jinhen hai teri yaad ki taraf
ya shah-e-jinn-o-ins ‘asar’ par bhi ik nazar
rakhta hai aankh aap ki imdad ki taraf
Leave a Reply