tere siva nigahon men ai yaar kaun hai
hairan huun main ki talib-e-didar kaun hai
har qatra ashk-e-shauq hai har zarra chashm-e-shauq
kya puchhte ho talib-e-didar kaun hai
sab hasraton ko raz-e-mohabbat bana chuka
ab sochta huun la.eq-e-iz.har kaun hai
‘natiq’ kisi ko de do dil-e-zar nazr men
is jins-e-be-baha ka ḳharidar kaun hai
Leave a Reply