tere qaul-o-qarar ki baten
kuchh nahin e’tibar ki baten
aap ka munh hai varna ham sunte
dushman-e-bad-shi.ar ki baten
puura karna na karna va.ade ka
hain tire iḳhtiyar ki baten
dekhne ko to bhole-bhale ho
hain magar hoshiyar ki baten
kaam tere dagha fareb ke kaam
baten iman-dar ki baten
aap ki baten ai safi’-sahab
sab ki sab hain ḳhumar ki baten
Leave a Reply