tire jalal se khurshid ko zaval hua
tire jamal se mahtab ko kamal hua
khiram-e-naz men un ko ye kab khayal hua
ki dil kisi ka pisa koi paemal hua
shabab se tiri rangat ka turfa haal hua
sapid joda jo pahna badan men laal hua
jo vasl-e-yar ki tadbir ki visal hua
khayal aish ka aaya to ik malal hua
hilal badar hua badar se hilal hua
yahan kamal kisi ka na be-zaval hua
hazaron saikdon paida hue hue napaid
na ek dam bhi zamane ko e’tidal hua
raqib qatl hua us ki tegh-e-abru se
haram-zada tha achchha hua halal hua
buton ka zulm kisi ne suna na mahshar men
khuda se bhi mira jhagda na infisal hua
kiye hain khuun se kisi ke ye dast-o-pa rangin
shikar taaza koi aaj kya halal hua
jalaya mujh ko to tujh ko bhi lag gaya dhabba
jigar pe daagh mire rukh pe tere khaal hua
jo main junun men gaya su-e-dasht ai ‘agha’
to mujh ko dekh ke divana har ghazal hua
Leave a Reply