pyaas baḌhti hui ta-hadd-e-nazar paani tha
ru-ba-ru kaisa ajab manzar-e-hairani tha
rasta band tha aur shauq-e-safar tha baaqi
ek afsana junun ka tha jo tulani tha
ek ḳhushbu thi jo malbus pe tabinda thi
ek mausam tha mire sar pe jo tufani tha
dam-ba-ḳhud ek tamasha-e-fana tha har-su
shor karta hua ik shauq-e-jahanbani tha
ḳhud-pasandi ka ajab vahm tha sab par taari
jaise koi bhi kisi ka na yahan saani tha
Leave a Reply