na kar talash-e-asar tiir hai laga na laga
jo apne bas ka nahin us ka aasra na laga
hayat lazzat-e-azar ka hai dusra naam
namak chhiḌak to chhiḌak zaḳhm par dava na laga
mire ḳhayal ki duniya men is jahan se duur
ye baiThe baiThe hua gum ki phir pata na laga
ḳhushi ye dil ki hai is men nahin hai aql ko daḳhl
bura vo kahte rahe aur kuchh bura na laga
chamak se barq ki kam-tar hai vaqfa-e-didar
nazar haTi ki use haath ik bahana laga
miri talash thi tashvish-e-dida-e-be-nur
vo milte kya mujhe apna hi jab pata na laga
Leave a Reply