tire husn-e-nazar ka ye bhi ik eajaz hai saaqi
ki har mai-kash zamin par asman parvaz hai saaqi
khayal itna rahe bas apne saghar ki pilane men
tira anjam hai saaqi mira aghaz hai saaqi
kahin baham-digar takra na jaaen saghar-o-mina
mai-e-sa-josh is dam mail-e-parvaz hai saaqi
jabin-e-shauq sajda kar kahan ka pas-e-rusvai
khusha-vaqte ki sargarm-e-khiram-e-naz hai saaqi
idhar bhi ik nazar o sab ki janib dekhne vaale
ki ik rind-e-kharabati nazar-andaz hai saaqi
karen tauba to dil bechain agar pi len to rusvai
ajab uljhan men apni mai-kashi ka raaz hai saaqi
sharab-e-arghavani bhi piyun main khud to paani hai
pilae tu jo paani bada-e-shiraz hai saaqi
pas-e-tauba mujhe piine men akhir kyon taammul ho
ba-hamdillah dar-e-tauba abhi tak baaz hai saaqi
vo kyon jaane laga dair-o-haram ki thokaren khane
tire ‘afqar’ ko tere mai-kade par naaz hai saaqi
Leave a Reply