thoḌi si miTTi ki aur do buund paani ki kitab
ho agar bas men to likhen zindagani ki kitab
ratjage tanha.iyan paane ka kho dene ka zikr
lijiye paḌh lijiye meri javani ki kitab
kah rahi hai shahar ki barbadiyon ki dastan
adh-jale kuchh kaghazon men ik kahani ki kitab
zindagi bhar kufr ke fatvon ki zad men tha vo shaḳhs
mo’atabar Thahri hai ab jis an-jahani ki kitab
vaqt ke zulmat-kade men hai bhala kis ko davam
ab kahan se la.un main teri nishani ki kitab
dekhiye jis ko liye phirta hai ‘anvar’ dosh par
apni nakami kisi ki kamrani ki kitab
Leave a Reply