teri ulfat men na jaane kya se kya ho ja.unga
tu ne gar chaha to ik din main ḳhuda ho ja.unga
qatl kar ke mat samajhna main fana ho ja.unga
jal ke apni raakh se phir runuma ho ja.unga
main kisi darvesh ke lab ki dua ho ja.unga
be-sahara zindagi ka aasra ho ja.unga
rat-bhar baiTha raha men thaam kar yadon ka haath
dil ko ḳhadsha tha ki main tujh se juda ho ja.unga
samne Thahra huun tere jaan le pahchan le
chal paḌa to baḌhte baḌhte fasla ho ja.unga
vaqt ke sahra men tum paoge mere naqsh-e-pa
main azal se ta-abad ik silsila ho ja.unga
main sama ja.unga ḳhushbu ki tarah har phuul men
patti patti ghuncha ghuncha runuma ho ja.unga
raah ka patthar sahi gar tu tarashega mujhe
dekhte hi dekhte main devta ho ja.unga
Leave a Reply