ek divar agar ho to yahan sar maren
ek divar ke pichhe hain ka.i divaren
ham ko lauTa de hamara vo purana chehra
zindagi tere liye ruup kahan tak dharen
paas kuchh apne bacha hai to yahi ik lamha
aḳhiri daav hai jiten ki ye baazi haren
tum kabhi aag men pal bhar to utar ke dekho
kaun kahta hai ki sho.alon men nahin mahkaren
qaid hain kaun se zindan men na jaane ham log
roz unchi hui jaati hain ‘qamar’ divaren
Leave a Reply