chhoda na tujhe ne raam kya ye bhi na hua vo bhi na hua
ham se to but-e-kafir ba-khuda ye bhi na hua vo bhi na hua
afsos adam se aa ke kiya kya ham ne gulshan-e-hasti men
juun shabnam-o-gul roya na hansa ye bhi na hua vo bhi na hua
us aina-ru ke vasl men bhi mushtaq-e-bos-o-kanar rahe
ai alam-e-hairat tere siva ye bhi na hua vo bhi na hua
dil ku-e-butan men ja baitha dam khana-e-tan ko chhod gaya
haif akhir-e-kar rafiq apna ye bhi na hua vo bhi na hua
ya bahr-e-tavaf-e-kaaba gae ya moatakif-e-but-khana hue
kya shaikh o barhaman ham ne kiya ye bhi na hua vo bhi na hua
ai qasid-e-ashk o paik-e-saba us tak na payam-o-khat pahuncha
tum kya karo haan qismat ka likha ye bhi na hua vo bhi na hua
khench us ko na laaya jazba-e-dil tasir na kuchh naale hi ne ki
main donon ka bas shaki hi raha ye bhi na hua vo bhi na hua
us lab ka liya bosa na kabhu haihat na lipta pavon se
dil tujh se ba-rang-e-pan-o-hina ye bhi na hua vo bhi na hua
majnun to phira jangal jangal farhad ne chira koh-e-dila
main aah raha be-dast-o-pa ye bhi na hua vo bhi na hua
din ko bhi na dekha ham ne use shab khvab men bhi yaaro na mila
is tala-e-khufta ka hove bura ye bhi na hua vo bhi na hua
nazdik ‘nasir’ apne asan farmaish thi goya ye ghazal
kuchh us ka bhi kahna mushkil tha ye bhi na hua vo bhi na hua
Leave a Reply