lahu ka daagh na tha zaḳhm ka nishan na tha
vo mar chuka tha kisi ko magar guman na tha
main chal paḌa tha kahin ajnabi dishaon men
hava ka zor tha kashti men badban na tha
main us makan men muddat se qaid tha ki jahan
koi zamin na thi koi asaman na tha
miri shikast miri fat.h kuchh nahin ya.ani
vo hadsa tha koi mera imtihan na tha
tumhare daur men har aadmi hai but ki tarah
hamare ahd men patthar bhi be-zaban na tha
kisi khanDar men hi mujh ko diya jalana paḌa
chamakte shahr men mera koi makan na tha
main sabz rang ka chashma pahan chuka tha ‘kalim’
miri nigah men manzar lahuluhan na tha
Leave a Reply