dil-e-fasurda men kuchh soz o saaz baaqi hai
vo aag bujh gai lekin gudaz baaqi hai
niyaz-kesh bhi meri tarah na ho koi
umiid mar chuki zauq-e-niyaz baaqi hai
vo ibtida-e-mohabbat ki lazzaten vallah
ki ab bhi ruuh men ik ehtizaz baaqi hai
na saz-e-dil hai ab ‘aḳhtar’ na husn ki mizrab
magar vo fitrat-e-naghma-navaz baaqi hai
Leave a Reply