raaz ashkara hai ab gham-e-nihan apna
aah ye sukut aḳhir ban gaya bayan apna
husn aur gham-ḳhvari ḳhvab hai ki bedari
hai hanuz kuchh baaqi shayad imtihan apna
kab hui talash un ko kho ga.e jab aise ham
ḳhud hamen nahin milta naam ko nishan apna
lutf-e-zindagi kaisa sair-e-gulsitan kaisi
hai vo ab qafas apna tha jo ashiyan apna
arzuen ghuT ghuT kar dil hi men rahen kab tak
luuT le koi rahzan kaash karvan apna
aa na jaa.e harf ik din un ki be-niyazi par
ta-kuja mohabbat men aap imtihan apna
dil ki baat ki jaa.e kis se phir siva.e dil
jab nahin yahan ‘kaukab’ koi raz-dan apna
Leave a Reply