azurda nigahon pe ye manzar nahin utra
sahra-e-tasavvur men koi ghar nahin utra
jab mil gaya irfan-e-nazar mujh ko ḳhuda se
phir kyuun mire ehsas se mahshar nahin utra
dekha nahin jis ne mire tufan ko sukun men
vo shaḳhs miri ruuh ke andar nahin utra
zalim to bahut hain magar ab un ko miTane
phir koi ababil ka lashkar nahin utra
is masnad-e-ḳhaki pe main baiTha huun jahan par
koi bhi mahal-saz barabar nahin utra
tanha.i jahan bhi mili adab kiya hai
haq-talfi pe us ki mira paikar nahin utra
samjhaute bulate rahe de kar mujhe gauhar
iman ke ziyan men magar ‘az.har’ nahin utra
Leave a Reply