kyuun kahun qamat ko tere ai but-e-raana alif
aur kuchh khubi nahin rakhta hai ik sidha alif
jaisa hai us barhaman zaade ke qashqe ka alif
likh nahin sakta hai koi khush-navis aisa alif
jab se di taalim-e-girya ustad-e-ishq ne
takhta-e-sina pe tifl-e-ashk ne khincha alif
vasf-beni men ye kya misraa zaban par aa gaya
us ki biini hai buland aur us se hai chhota alif
gard hai naqsh-o-nigar-e-chin un ke ru-ba-ru
hain rida-e-faqr par is tarah ke zeba alif
qatl ko ashiq ke angusht-e-isharat kar buland
teri angusht-e-isharat hai shahadat ka alif
sar-kashi karta hai yuun har aan mera nafs-e-shum
jis tarah se dam-ba-dam ho jaae hai ghoda alif
itne par bhi zat-e-vahid se hain ghafil naqisan
khinch raha hai mu-e-tan se tan pe sar-ta-pa alif
Leave a Reply