ravan davan nahin yaan ashk chashm-e-tar ki tarah
girah men rakhte hain ham aabru guhar ki tarah
suni sifat kisi khush-chashm ki jo mardum se
khayal daud gaya aankh par nazar ki tarah
chhupi na khalq-e-khuda se haqiqat-e-khat-e-shauq
uda jahan men kabutar mira khabar ki tarah
sivae yaar na dekha kuchh aur aalam men
sama gaya vo miri aankh men nazar ki tarah
adam ki raah men khatka raha jahannam ka
safar ne dil ko jalaya mire saqar ki tarah
khule jo sab to bandha taar mithi baton ka
shakar girah men vo rakhte hain neshkar ki tarah
vo andalib huun shahpar jo mera mil jaae
chadhaen sar pe salatin huma ke par ki tarah
zakat de zar-e-gul ki bahar men gulchin
chaman men phuul luta ashrafi ke zar ki tarah
giri hai chhut ke jo zaanu pe shaam ko afshan
sitare yaar ke daman men hain sahar ki tarah
mushaire ka ‘amanat’ hai kis ko hijr men hosh
kahan ke sher kahan ki ghazal kidhar ki tarah
Leave a Reply