• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jaur-E-Aflak Bas-Ki Jhele Hain

Jaur-E-Aflak Bas-Ki Jhele Hain

poet

jaur-e-aflak bas-ki jhele hain

aise papad bahut se bele hain

gah huzuri hai gaah hai duuri

gah akele hain gah do-kele hain

asp-e-tazi nazar nahin aate

so khuron se bhare tavele hain

kahte hain yaan jise qimar-e-ishq

khel aise bahut se khele hain

jiite hain vo qimar-e-ishq men yaar

jaan par apni jo ki khele hain

thahre kab jang-e-husn men ye shaikh

ek muddat ke ye bhagele hain

paas apne dui ka naam nahin

jab se paida hue akele hain

na dikhana lahad men ankhen nakir

paas apne bhi qul ke dhele hain

kufr-o-din ka ho faisla kyunkar

ek muddat ke ye manjhele hain

dair-o-kaaba ki bhid-bhad hai kya

aise dekhe bahut se mele hain

giriya-e-pur-asar ki shiddat hai

saaf ab-e-baqa ke rele hain

bheja apna khayal us but ne

jab suna ‘muntahi’ akele hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abroo-shah-mubarak

Insan Hai To Kibr Sin Kahta Hai Kyun Ana

Taqsim Tazkire Ko Main Kaise Raqam Karun

Kuchh Aisa Be-Sar-O-Pa Zist Ka Nizam Raha

Wo Khul Kar Mujhse Milta Bhi Nahin Hai

Kucha-E-Rang-E-Malamat Ke Sab Aasar Ke Sath

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet