• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Thi Dhup Tez Is Qadar Badan Bhi Jaise Jal Gaya

Thi Dhup Tez Is Qadar Badan Bhi Jaise Jal Gaya

poet

thi dhuup tez is qadar badan bhi jaise jal gaya

magar baḌha jo mera qad to aftab Dhal gaya

jab us gali men jhuuT ki sunin fareb-kariyan

to us gali men sach suna aur aage main nikal gaya

jo mera naam aa gaya vo muskura ke rah gaya

raqib ki ḳhushamadon ka zor us pe chal gaya

yahan har ek samt hain latafaten nafasaten

kahin ye dil Thahar gaya kahin ye dil machal gaya

ye rahne vaala shahr ka yaqin na kar saka kabhi

vo rahne vaala gaaon ka ki jhuuT se bahal gaya

thi mere paas raushni to vo bhi mere saath tha

andhera jab hua to vo kahan se kab nikal gaya

mujhe nahin hai is ka gham ki muflisi mili mujhe

mujhe ye gham sata raha hai us ka kaam chal gaya

hamen ‘niyazi’ aaj bhi tiri vo baat yaad hai

jo gir gaya so gir gaya jo uTh gaya sanbhal gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Istada Hai Jab Samne Diwar Kahun Kya

kaifi-azmi

Kisan

Tumhaari Yaad Tari Ho Rahi Hai

dagh-dehlvi

Achchhi Surat Pe Ghazab Tut Ke Aana dil Ka

bushra-saeed

Chaukidar

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet