ajab chanchal mila hai yaar hamna
kiya ik-bargi sarshar hamna
tadhan suun dekh kar kuchh yuun samajhte
do-alam sahab-e-asrar hamna
gul-e-bustan hai goya ḳhar-e-sahra
vasa jab husn ka gulzar hamna
zamin suun ta-falak saare hijabat
hue hain matla-ul-anvar hamna
hua dil surḳh-ru aaya nazar jab
shagufta chehra-e-gul-nar hamna
navazish aur talattuf suun apas ke
diya ḳhalvat men apne baar hamna
‘alimullah’ huzuri men sanam ke
nahin juz bandagi iqrar hamna
Leave a Reply