hoti nahin bimar-e-mohabbat ko shifa bhi
ye dard hua karta hai ḳhud apni dava bhi
sab un ke sitam mere liye ain karam hain
hai un ki jafaon men ik andaz-e-vafa bhi
ik rabt bahut hai na sahi chashm-e-inayat
mujh ko nahin mahrumi-e-qismat ka gila bhi
be-vaj.h nahin sahme hue ahl-e-gulistan
badli nazar aati hai gulistan ki faza bhi
naghmat-e-tarab-ḳhez bahut ḳhuub hain lekin
mumkin ho to sun TuuTe hue dil ki sada bhi
us sahib-e-himmat ka hai jiina mire nazdik
jiine ki dua deti hai ḳhud jis ko qaza bhi
har-chand hai nazron se nihan dost ka jalva
ho dida-e-bina to vo hai jalva-numa bhi
ḳhvahish hai karam ki na tamanna-e-navazish
uThte nahin ab haath kabhi bahr-e-dua bhi
be-jins amal rahat-e-uqba ke hain talib
kya ḳhuub hai ḳhush-fahmi-e-arbab-e-safa bhi
taslim ki asan hai ‘qamar’ da.ava-e-ulfat
asan to nahin jada-e-taslim-o-raza bhi
Leave a Reply