• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Raat Ko Pahlu Mein Ek Taswir Raushan Ho Gai

Raat Ko Pahlu Mein Ek Taswir Raushan Ho Gai

poet

raat ko pahlu men ik tasvir raushan ho ga.i

ḳhvab to dekha nahin ta.abir raushan ho ga.i

us but-e-kafir ko jo dekha bahut nazdik se

naqsh-gar ki shoḳhi-e-tahrir raushan ho ga.i

dasht-e-vahshat men ghubar-e-naqa-e-laila to hai

hasrat ai pa-e-junun zanjir raushan ho ga.i

zaḳhm-e-naumidi charaghan kar rahe hain ziist men

daagh kya raushan hue taqdir raushan ho ga.i

us ki ankhon men umaD aaya sitaron ka hujum

gul-kade men shauq ki tanvir raushan ho ga.i

arzuen sab shikasta ḳhvab saare munhadim

mere ghar men raunaq-e-ta.amir raushan ho ga.i

saz-e-dil-dari pe naghma-zan hui sham-e-visal

mauj-e-gul ki ḳhubi-e-taqrir raushan ho ga.i

raqs farmane lage sab ranj-o-gham soz-o-alam

sham-e-mina jal uThi tasir raushan ho ga.i

umr-e-zindan men guzari par ‘nadim’ itna to hai

mash.al-e-ḳhurshid se zanjir raushan ho ga.i

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ameer Khasro

Sakal Ban Phul Rahi Sarson

Afsos Tumhein Car Ke Shishe Ka Hua Hai

Zindagi Kya Yunhi Nashad Karegi Mujhko

narjis-afroz-zaidi

Raqs-E-Zamin Ko Gardish-E-Aflak Chahiye

allama-iqbal

Koi dekhe To Meri Nai-Nawazi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet