ai dil na sun afsana kisi shoḳh hasin ka
na-aqibat-andesh rahega na kahin ka
duniya ka raha hai dil-e-nakam na diin ka
is ishq-e-bad-anjam ne rakkha na kahin ka
hain taak men ik shoḳh ki duz-dida nigahen
allah nigahban hai ab jan-e-hazin ka
halat dil-e-betab ki dekhi nahin jaati
behtar hai ki ho jaae ye paivand zamin ka
go qadr vahan ḳhaak bhi hoti nahin meri
har vaqt tasavvur hai magar dil men vahin ka
har ashiq-e-jan-baz ko dar ai sitam-ara
talvar se baḌh kar hai tiri chin-e-jabin ka
kuchh saḳhti-e-duniya ka mujhe gham nahin ‘ahsan’
khaTka hai magar dil ko dam-e-baz-pasin ka
Leave a Reply