apni ujḌi hui duniya ki kahani huun main
ek bigḌi hui tasvir-e-javani huun main
aag ban kar jo kabhi dil men nihan rahta tha
aaj duniya men usi gham ki nishani huun main
haae kya qahr hai marhum javani ki yaad
dil se kahti hai ki ḳhanjar ki ravani huun main
alam-afroz tapish tere liye laaya huun
ai gham-e-ishq tira ahd-e-javani huun main
charḳh hai naghmagar ayyam hain naghme ‘aḳhtar’
dastan-go hai gham-e-dahr kahani huun main
Leave a Reply