kya puchhte ho shahr men ghar aur hamara
rahne ka hai andaz idhar aur hamara
vo tegh na jaane kidhar uthti hai abhi to
jhagda hai dil-e-sina-sipar aur hamara
jab hosh men aae to use dekh bhi lenge
filhal hai andaz-e-nazar aur hamara
ye mohr o nishan tabl-o-alam khuub hai lekin
badh jaega kuchh bar-e-safar aur hamara
dil aisa makan chhod ke ye haal hua hai
yaani nigah-e-khana-badar aur hamara
Leave a Reply