tere ġham ko apnī rātoñ kā muqaddar kar liyā
jāgnā thā is liye kāñToñ pe bistar kar liyā
jis ko chāhā bas usī kā rāsta takte rahe
pattharoñ kī justujū meñ ḳhud ko patthar kar liyā
haa.e vo ehsās harf-e-ārzū kahne ke ba.ad
yuuñ lagā thā jaise koī ma.arka sar kar liyā
ham to maazī ko asās-e-zindagī kahte rahe
aur us ne apne mustaqbil ko behtar kar liyā
bas yahī mumkin thā ham se dasht-e-ġhurbat meñ ‘aqīl’
apne qad ko apnī chādar ke barābar kar liyā