juz nadamat malal kya hoga
hasil-e-ishti’al kya hoga
main ki khana-ba-dosh huun mujh ko
hijraton ka malal kya hoga
khamushi jab kalam karti ho
phir vahan qil-o-qal kya hoga
ek muddat se hijr lahaq hai
koi mujh sa nidhal kya hoga
jis pe vaada hai rab ki bakhshish ka
qatra-e-infi’al kya hoga
zid pe aae hue hain ashk mire
zabt ab tera haal kya hoga
dost tarkash-ba-dosh hain ‘shazi’
zakhm ka indimal kya hoga
Leave a Reply