
Khumar Barabankavi
tire dar se uth kar jidhar jaun main
chalun do qadam aur thahar jaun main
sambhale to huun khud ko tujh bin magar
jo chhu le koi to bikhar jaun main
agar tu khafa ho to parva nahin
tira gham khafa ho to mar jaun main
tabassum ne itna dasa hai mujhe
kali muskurae to dar jaun main
mira ghar fasadat men jal chuka
vatan jaun to kis ke ghar jaun main
‘khumar’ un se tark-e-taalluq baja
magar jite-ji kaise mar jaun main

Leave a Reply