kisi ki ankhon men behad hasin manzar tha
mira badan tha jazira vo ik samundar tha
vo jalte pankh liye baḌh raha tha meri taraf
miri ragon men Thaharta hua december tha
jo ek jugnu sa bujhta raha damakta raha
vo ajnabi to shanasaon se bhi behtar tha
bara.e naam to paani tha us ke charon taraf
magar jo Thahra to sahra men vo shanavar tha
ajiib baat bata.i hai jugnuon ne hamen
vo buḌha sadhu nahin ḳhaufnak ḳhanjar tha
‘kanval’ thi tez hava.en mire ta.aqub men
main apne vaqt ka jalta hua calendar tha
Leave a Reply